Tell your friends about this item:
Karmanayvaadhikaraste / ???????????????????
Acharya Prashant
Karmanayvaadhikaraste / ???????????????????
Acharya Prashant
Jab bhi humare jeevan me koi jatil sthiti aati hai to humara pehla prashn hota hai -- 'Kya karein?' Arthaat 'sahi karm kya ho?' Har vyakti kahin-na-kahin isi prashn me uljhaa hua hai, 'Kya karun?'
Kya aesi koi niyamon ki soochi banai ja sakti hai ki aesi sthiti aae to ye karo aur waisi sthiti aae to 'aesa karo'? Bada mushkil hoga!
Apka karm to is par adharit hota hai ki aap hain kaun. To aapke lie sahi karm kya hai, ye jaanna hai to jaanna padega ki aap hain kaun. Karna kya hai, ye mahatvpoorn sawaal nahin hai. Kaun kar rha hai, yahi asli sawaal hai.
To bataie aap kaun hain? Kya aapka 'Karta' samaaj dwara sanskaarit aur dusron wara prabhavit man hai ya ek suljha hua man? Aap ke karm sharirik vrittiyon se uthte hain ya aatmik bodh se? Aap ke karm sachchai ko samarpit hote hain ya apni vyaktigat bhalai ko?
Uchit karm kya hai, yeh jaanne ke lie aapko svyam par thodi mehnat aur sadhna karni padegi. Jeevan ke prati ek spashtta laani padegi.
Yadi aap us karta ko samajhna chaahte hain jo aapke bheetar baitha hua hai, aur aap chaahte hain ki aapka jeevan thos roop se badle, aapke dukh-dard kam ho, aur aapko jeevan ke prati ek saaf drishti mile, to Acharya Prashant ki yeh pustak aapke lie hi hai.
Media | Books Paperback Book (Book with soft cover and glued back) |
Released | September 11, 2021 |
ISBN13 | 9781685545178 |
Publishers | Notion Press |
Pages | 264 |
Dimensions | 140 × 216 × 15 mm · 340 g |
Language | Hindi |